ZNMD Poems Lyrics - Farhan Akhtar

 

ZNMD Poems English Lyrics from the movie Zindagi Na Milegi Dobara

sung by Farhan Akhtar

 

Poem 1 – Apne Hone Par Mujhko Yaqeen Aa GayaPighle neelam sa behta hua ye sama
Neeli-Neeli si khamoshiyaan
Na kahin hai zameen, na kahin Aasmaan
Sarsarati hui tehniyaan, pattiyaan
Keh raheen hai ki bas ek tum ho yahaan
Sirf main hoon
Meri saansein hain aur meri dhadkanein
Aisi gehraiyaan, aisi tanhaiyaan
Aur main sirf main
Apne hone par mujhko yaqeen aa gayaPoem 2 – Yeh Jaane Kaisa Raaz HaiIk baat honthon tak hai jo aayi nahin
Bas ankhon se hai jhaankti
Tumse kabhi, mujhse kabhi
Kuch lafz hain woh maangti
Jinko pahen ke honthon tak aa jaaye woh
Awaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaaye woh
Lekin jo yeh ik baat hai
Ehsaas hi ehsaas hai
Khushboo si hai jaise hawa mein tairti
Khushboo jo be awaaz hai
Jiska pata tumko bhi hai
Jiski khabar mujhko bhi hai
Duniya se bhi chhupta nahin
Yeh jaane kaisa Raaz haiPoem 3- Dil Aakhir Tu Kyun Rota HaiJab jab dard ka baadal chhaya
Jab gham ka saya lehraaya
Jab aansoo palkon tak aaya
Jab yeh tanha dil ghabraaya
Hum ne dil ko yeh samjhaya
Dil aakhir tu kyun rota hai?
Duniya mein yun hi hota hai
Yeh jo gehre sannate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda gham hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi nam hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota haiPoem 4 – Toh Zinda Ho TumDilon mein tum apni betabiyan leke chal rahe ho.
Toh zinda ho tum!
Nazar mein khwaabon ki bijliyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum!Hawa ke jhonkon ke jaise aazad rehna seekho
Tum ek dariya ke jaise, leharon mein behna seekho
Har ek lamhe se tum milo khole apni baahein
Har ek pal ek naya samaa dekhiyeJo apni aankhon mein hairaniyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum!
Dilon mein tum apni betabiyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum!

 

ZNMD Poems Hindi Lyrics from Zindagi Na Milegi Dobara

sung by Farhan Akhtar

 

कविता 1 - Apne Hone Par Mujhko Yaqeen aa Gayapighle Neelam Sa Behta हुआ ये सामा
नीली-नीली सी खमोशियायन
ना कहिन है ज़मीन, ना कहिन आसमान
सरसरती हुई तेनीयान, पतिियान
केह राहेन है की बस इक तुम हो याहान
SIRF MAYS HOON
मेरी Saansein Hain Aur Meri Dhadkanein
ऐसी गहरिया, ऐसी तन्यायान
और मुख्य SIRF मुख्य
Apne hone par mujhko yaqeen aa gayapoem 2 - ये jaane Kaisa raaz haiik baat honthon tak hai jo ayi nhin
BAS Ankhon Se Hai Jhaankti
Tumse Kabhi, मुजसे कही
कुच Lafz हैन वो MANGTI
Jinko Pahen Ke Honthon Tak Aa Jaye WOH
Awaaz Ki Baahon Mein Baahein Daalke Ithlaaye वो
लेकिन जो येह ik baat hai
एहसास हाय एहसास है
खुशबू si hai jaise hawa mein tairti
खुशबूो जो काज है
Jiska Pata Tumko भी है
Jiski खबर Mujhko भी है
Duniya Se Bhhupta Nahin
ये जान कैसा राज़ हिप्पेम 3- दिल आखिर तु क्युन रोटा हैजब जबड़ा दार्ड का बाडल छाया
जब घाम का साया लेहराया
Jab anansoo palkon tak aaya
जब ये तन्हा दिल घबराया
हम ne dil ko yeh समेजया
दिल आखिर तु क्युन रोटा है?
Duniya Mein Yun HI HATA HAI
ये जो गेहारे सानेट हैन
Waqt Ne Sabko हाय Baante Hain
थोडा घाम है सबका क्विसा
थोडी धूप है सबका हिसा
AANKH TERI BEKAAR HI NAM HAI
हर पाल एक नया मौसाम है
Kyun Tu Aise Pal Khota Hai
दिल आखिर तु क्युन रोटा हिपोएम 4 - तोह जिंधा हो तुमडिलॉन मीन तुम apni betabiyan leke chal rahe ho।
तोह जिंदा हो तुम!
नज़र मीन ख्वाबोन की बिजलीन लीके चाल राहे हो
तोह जिंदा हो टम! हवा के झोनकॉन के जैस आज़ाद रेहना सेखो
तुम एक दारिया के Jaise, Leharon Mein Behna Seekho
हर एक Lamhe Se Tum Milo Khole Apni Baahein
हर एक पाल एक नाया समा डेखियोजो एपनी नहोन मीन हेयरनियन लीके चाल राहे हो
तोह जिंदा हो तुम!
Dilon Mein Tum Apni Betabiyan Leke Chal Rahe Ho
तोह जिंदा हो तुम!

 

About the Song

ZNMD Poems Song Info

Singer
Farhan Akhtar

Album
Zindagi Na Milegi Dobara

Lyricist
Javed Akhtar

Director
Zoya Akhtar

Cast
Hrithik Roshan, Abhay Deol, Farhan Akhtar, Katrina Kaif

Language
Hindi

 

About the Album/Movie - Zindagi Na Milegi Dobara

Three friends decide to turn their fantasy vacation into reality after one of their friends gets engaged.

 

FAQ

Which movie/album is the song ZNMD Poems from?
- The song ZNMD Poems is from Zindagi Na Milegi Dobara

 

Who sang Farhan Akhtar?
- The song ZNMD Poems is sung by Farhan Akhtar

 

Which year did the movie Zindagi Na Milegi Dobara release?
- Zindagi Na Milegi Dobara was released in 2011

 

Which genre is the movie Zindagi Na Milegi Dobara?
- Zindagi Na Milegi Dobara falls in the following genres: Comedy, Drama

 

Who wrote the lyrics for the song ZNMD Poems?
- Javed Akhtar

 

Who is in the movie Zindagi Na Milegi Dobara?
- Hrithik Roshan, Abhay Deol, Farhan Akhtar, Katrina Kaif

Related Posts

Hindi Song Lyrics
© 2024 Label Rebel Official
crossmenuarrow-down